Clarification & Identification of MOMIN




Clarification & Identification of MOMIN
[15-April-2020] Document Roman Script Urdu  (CIM15/20)

Pdf Code
(CIM15/20)


Presented by
SHORT NOVEL
#YouTube

I.A.T (Islamic Action Team)
#ShortNovel_Support

[Host]
Syed Sahil Akhtar

Roman Scripture
Messege typing




Bissmillaahir Rahmaanir Raheem
(Allah key Naam sey Shuru Joh bada meharban,nnihayat Rahman Wala)
In The Name of Allah (one & only), Most Gracious, Most Merciful.

Quran Kareem Woh Kitab Hai, Joh Nabi e Kareem (Sallallaahu alaihi wa'alihi wasallam) Koh Maujaza e Khaas key taur Pey dee Gayi, Allah tala Ney Naw-e-Insani Per. Kisi Bhi Musalman key Liye Quran Uska Reading Book or Slybus Ka Pehla Book Hona Chahiye.

Momin : Kuch log 'Momin Sunte hi' yeh Kahte hai ke "Hum Toh Aam Musalman Hai, Hum Momin Kaise Ban-Payenge Woh Toh Na mumkin hai" note-1

Kuch Logo Ki Gumrahee : yeh Baat Kahna ya Samajh key "hum Momin Nahi Ban payenge" yeh ek khud khuli gumrahee hai, Aur Yeh Faylaye hai Alif, Mufti, Naat Khawa'n, Qari, Ya Woh Joh Taleem Key Naam Pey Apne Jazbat ko Aam Karte Hai Yeh Log Zalim key Ginti Aate hai. note-2

MOMIN Aur MUSALMAN Mein Faraq : Jis tarah quran ka alag alag sifati (titles) naam hai Jaise Al-furqan, Al-huqum, Al-kitab, Ash-shifa etc. Waise hi MUSALMANO ka Bhi bohut saara Sifati (titles) Naam hota, Aur yeh titles uske amal or kreedar Ka badle (basis) mey usko diya jaata hai - Usko titles Dena Nahi hai, Balke Woh Khud Apne Kreedar Koh Ayse Bana ley key Log Usko Woh titles Sey Pukaarey. 

Jaise :- Haqim, Ameer, Musalli, Sadiqeen, Muttaqeen, momineen, shahideen, Arifeen etc yeh Musalmano Ka Titles hai Joh Sirf Uske Kreedar ke bina (Basis of Action)  Usseh Rabb tala ki Taraf Sey Diya jata hai.

Quran Mey Darj Hai ager Koyee Momin hai, Toh uska Eman (believence) or Uska Fayl o Kreedar (Action) Kiya Hona Chahiye.


Surah Baqarah, First 5 Ayat (Verses)
Ayat 1
Alif, Laam, Meem ! 
Ayat 2
Yeh Kitab Allah hi ki hai, Isme Zara sa Bhi Shak ki Gunjaish Nahi, Isme Hidaayat hai, Taqwa Walo'n Key Liye.
Ayat 3
Woh log Joh Eman Laate hai GHAIB per , Aur Namaz Qayam Rakhte, Aur Humare diye Hue kharch Karte hai
Ayat 4
Aur Eman Laate hai Joh Aap per NAZIL hua, Aur Joh Isseh Pehle NAZIL hua, Aur Qayamat/ Akhirat key din per
Ayat 5
Yahi log Apne Rabb key Taraf Se Hidaayat per hai, Aur Yahi Kamyabi Hasil Karne Wale Hai.

Is Ayat e Paak Mey MOMIN Koh Kya Manna hai ya Kya Eman (believence) Rakhna Chahiye Aur Kaisa Kreedar Amal (Action) Hona Chahiye Woh Bataya Gaya hai.

ACTION OF MOMIN
BELIEVENCE OF MOMIN
Muttaqi
Taqoo-Allah (Muttaqi)
Salah/ Namaz
Ghaib
Giving Charity/ be Charitable/ Rizq takseem/ RAZZAKNAHUM
Nazil (before Prophet MUHAMMAD) peace be upon him

Nazil (after Prophet MUHAMMAD) peace be upon him

Akhirat/ Qayamat

Next Post --> Muttaqi (action and Believence) 

Comments

Popular posts from this blog

Bani-Israeel Aur Munafiqeen

Kitab ki Haqqaniyat aur Daur e Musalma'n